Find Anything Regarding Love

Friday, May 21, 2010

Unki Shikayat


Unko ye shikayat hai,main bewafai par nahi likhta,
Aur main sochta hu ki main unki rusvai par nahi likhta,
“khud apne se bura jamane me kaun hai”??
Main isliye oro ki burayi par nahi likhta.
“kuch to adat se majbur hai or kuch fitrato ki pasand hai”
Jakhm kitne bhi gahre ho??main unki duhai pe nahi likhta
Duniya ka kya hai har hal me ilzam lagati hai,
Varna kya bat hai??ki main kuch apni safai pe nahi likhta
“uski takat ka nasha..mantra aur kalam me barabar hai”
Mero dosto main majhab ki ladai pe nahi likhta.
“samandar ko parakhne ka mera nazariya hi alg hai yaro”
Mizazo pe likhta hu main uski.. gahrayi pe nahi likhta.
“paraye dard ko, main gazlo me mehsus karta hu”
Ye such hai shajar se fal ki, judai pe nahi likhta.
“tujurba teri mohabbat ..na likhne ki wajah bus ye”
Ki ‘shayar ’ ishq me khud apni, tabahi pe nahi likhta.

No comments: